Apne Khoye Hue Mobile Ko Kaise Dhundhe

How-To-Track-Mobile

Online Mobile Tracker or Finder

Hi Friends! How are you today? Aaj mai aapko ek very interesting trick batane ja rha hu. Iske liye aap yah post pehle se padhkar dhyan me rakhe aur apne mobile ke kho jaane (Lost) ka wait na karein. Vaise to hamme se jyadatar logo ko Mobile ke kho jaane se jyada dar mobile data chori ho jaane aur use koi miss use na kare , is chiz ka hota hai.

To kya aap jante hai ki humaare mobile ke kho jaane ke baad bhi hum apne mobile ko ghar baithe lock kar sakte hai aur uska sara data delete kar sakte hai. Jaanne ke liye padhein yah puri post dhyan se. 

Kuchh settings lagakar aap apne khoye hue mobile ko lock bhi kar sakte hai aur uska sara data bhi ghar baithe delete kar sakte hai. Yadi aapka mobile lost ho gya hai to data ki jyada tension na lein. Aur to aur aap ghar baithe apne mobile ki location ka bhi pata laga sakte hai. aage hum isi ke baare me discuss karenge.


Android Mobile ke andar ek buit-in-tracking ka feature diya gaya hai jise on karke aap apne mobile ki location ka pata laga sakte hai. Iske liye aap niche di gai steps ko follow karein-


Sabse pahle aap apne browser ko open karke yah website open kare-   Click here


Jaise hi aap is par jaenge aako us user ID Password se login karna hoga jisse aapne Apne khoye hue Android mobile me login kar rkha hai. Is tarah aap google map par apne khoye hue mobile ki location bhi pata kar sakte hai Aur us par ring bhi kar sakte hai. Iske alawa yaha ek option aisa bhi hota hai jiski help se aap apne khoye hue mobile ka data delete karke use lock bhi kar sakte hai.
How to Track My Mobile Sadupayog Best Hindi Blog
Yadi aapko is post se related koi doubt ho to niche comment kar sakte hai. Please share this post. Thank You.