How to Hide Folder in Computer

how-to-hide-folder-in-pc

Hello Friends! Aaj mai aapko bataunga Folder hide karne ki ek killer trick. Kai bar hum google me search karte hi hai ki- "how to hide folder in computer" fir bhi hume proper solution nahi milta. Lekin aaj mai aapko hindi me iska ek shandar solution dene ja rha hu. bas aap dhyan se is post ko padhte rahe. Post achhi lage to share jauru karein.

Kyu karte hai Folder Hide


Kai bar aisa hota hai ki humara personal computer bs kehne ka personal hota hai but hamare alawa bhi hamare family members bhi humare PC ko use karte hai. Lekin kabhi kabhi hum humaara personal data kisi ke sath bhi share nahi karna chahte hai. Aur hum chahte hai ki humara data humare alaava kisi ko na dikhaai de. Fir hum apne data ko hide karne ki tricks internet par search karne lag jate hai.

Kaise karte hai humare personal Data ko hide



How-to-hide-folder-in-pc

Dosto mai aapko yaha ek bat bata du ki aapke PC me aap jo bhi data hide karna chahte hai use kisi ek folder me rakh dein. Aur us folder ko hide kar dein. Jaisa ki hum is post me sikhne wale hai.

Types Of   Folder  Hiding  Style


Yahaan mai aapko Folder Hide karne ke 2 tarike bataunga. Jo ki lagbhag sabhi log jante hai Aur hide kiye hue folders ko easily har koi dekh sakta hai.


Type 1:-


Windows 7 & below (XP) me aap jis folder ko hide karna chahte hai us folder par right click karne ke bad "properties" par click kare. Ab "Hidden" option ko select kar dein. Aisa karne se aapke samne ek pop-up window open hogi usme ok button par click karein. aapka folder hide ho jaega.

Folder Vapas lane ke liye kya karein -


Aap apne computer me jo bhi folder hide karna chahte hai use select karein aur upar menu me "Tools" option par click karein, Ab "Folder Option" par click kare. Ab aapko upar kai sare Tabs dikhai de rhe honge. usme se aapko "View" Tab par click karna hoga. 

Yaha par ab aapko ek alag window dikhai degi. Ab aap "show hidden files and folders" ko select kar lijiye. Jaise hi aap isko select karenge, aapne jo folder hide kiya tha vo halka sa dikhai dega. yaani properly vo folder nahi dikhai dega. Aap us folder par fir se right click karke "hidden" option ko deselect kar dena chahiye. Aapka folder fir se dikhai dene lagega.


Type 2 :-

Yah ek aisa tarika hai jise apna kar aap apne folder/data ko aise hide kar sakte hai jisse ki aapka data koi bhi na dekh sake. Jee ha mai jo tarika aapko bataane ja rha hu vah ek bahut hi shandar tarika hai. Aur Command Prompt par jakar hum command likhkar hum data ko hide karenge. To chaliye start karte hai.

Yadi aapko yah tarika thik se samajh me nahi aaya ho to aap niche diye gye video ke dwara bhi ise samajh sakte hai.Sabse pahle aapko us folder ka name pata hona chahiye jisko aapko hide karna hai. For example mere computer ke D drive me ek ABC name ka folder hai jise mai hide karna chahta hu. ok. Ab mai command prompt open karta hu. Aur D drive me jaane ke liye command type karta hu.

D drive me jane ke liye image me di gai command type kare. Yadi aap kisi dusri drive me folder ko hide karna chahte hai to d ki jagah dusri drive ka name likh sakte hai. Ab mere computer ki D drive me ABC name ke folder ko mai hide karna chahta hu to mai yah command type karunga -

d:\> attrib +r +s +h <foder_Name>

Example ->

d:\> attrib +r +s +h ABC



Ab aap Enter key press kar dijiye. Aapka folder hide ho jaega. Yaani ki yadi aapko folder ki location aur folder ka name yad hai to hi aap hidden folder ko vapas dekh sakte hai otherwise aap folder ko nahi dekh sakte.

Folder ko vapas laane ke liye kya karein -
Folder ko vapas laane ke liye fir se yahi command likh kar "+" ki jagah par "-" ka sign laga dein. to aapka folder vapas aapko mil jaega.

d:\> attrib -r -s -h <foder_Name>

Example ->

d:\> attrib -r -s -h ABC

Yah puri process aap is video ke dwara dekh sakte hai.



Yadi aapko koi Question karna ho to aap comment box me apna Question type kar sakte hai. How to Hide Folder ki post aapko kaisi lagi please comment below. Thank You.